lahron mein bhanwar niklenge mehwar na milega har mauj mein pani bhi barabar na milega gir jati hai roz ek parat rakh badan se jalne ka saman phir bhi kahin par na milega chashmak bhi jo rakhni hai to chauthai zamin se shorida zaban kaise samundar na milega har samt dimaghon ke tarangon ka hai shab-khun taknik ki is jang mein lashkar na milega raste hi mein jal bujhti hai mahtabi-e-anjum sabit ko to sayyar ka zewar na milega karte hain hifazat sabhi diwar-e-ana ki rakhne ke barabar bhi kahin dar na milega kuza-gar-e-qamus kahan 'zeb' sa 'tafzil' simta hua kaghaz pe samundar na milega