lahu aankhon mein raushan hai ye manzar dekhna ab ke

lahu aankhon mein raushan hai ye manzar dekhna ab ke
dayar-e-gham mein kya guzri hai hum par dekhna ab ke

andhera hai wahi lekin riwayat wo nahin baqi
charaghon ki jagah hathon mein khanjar dekhna ab ke

sulagte ghar ki chingari bhi badla lene wali hai
ye manzar dekhna lekin sambhal kar dekhna ab ke

shikast-o-fath ki tarikh likkhi jaegi yun bhi
tahi-dasti se hoga marka sar dekhna ab ke

shanasai ke sae badh gae sahn-e-rifaqat mein
hamari pusht mein paiwast khanjar dekhna ab ke

zamin ko phir lahu bakhsha gaya hai be-gunahon ka
sitam ke har shajar ko phir samar-war dekhna ab ke

sukut-e-shab mein aankhen band hongi jab darichon ki
koi saya nazar aaega dar dar dekhna ab ke

chhalakne wali hai ye chashm-e-viran ek din 'rahi'
sulagte dasht mein koi samundar dekhna ab ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close