lajyai se nazuk hai ai jaan badan tera

lajyai se nazuk hai ai jaan badan tera
ab chhu nahin sakte hum phula ye chaman tera

aankhen teri nargis hain rukhsar tere gul hain
chatwata hai honthon ko ye seb-e-zaqan tera

nakhun tere suraj hain aur chand hatheli hai
aaina-e-khud-rau hai shaffaf badan tera

dandan tere moti hain khurshid sa matha hai
dur jhadte hain baaton mein aisa hai dahan tera

us se tujhe nafrat hai ghairon se mohabbat hai
kab bhaega 'akhtar' ko ai jaan chalan tera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close