lamha lamha shumar karta hun aap ka intizar karta hun khar-zar-e-hayat mein rah kar main bahaaron se pyar karta hun zard chehron udas aankhon par apni khushiyan nisar karta hun mujh sa nadan koi kya hoga aap par e'tibar karta hun dekh kar nur nur chehron ko midhat-e-kirdgar karta hun koi samjhe na dil ki baat agar khamushi ikhtiyar karta hun main mohabbat ke nam par 'rifat' gham-nasibon se pyar karta hun