lamhon ne yun sameT liya fasla bahut

lamhon ne yun samet liya fasla bahut
main ne padha to kuchh na tha lekin padha bahut

kitne junun-nawaz bichhad ke chale gae
josh-e-junun ke sath na tha walwala bahut

duba safina jis mein musafir koi na tha
lekin bhare hue the wahan na-khuda bahut

sau daeron mein bat ke numayan na ho sake
socho agar to hoga bas ek daera bahut

shayad yahi kitab-e-mohabbat ho la-jawab
meri wafa ke sath hai teri jafa bahut

zakhmon ke sath sath namak-pashiyan bhi thin
dekha hai mere ishq ne ye silsila bahut

aankhon mein dam tika hai wo aa jaen is ghadi
dast-e-talab hai mere liye ye dua bahut

tujh ko 'shahid' sada-dili ki nazar lagi
imkan warna tere liye bhi raha bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close