lazim hai apne aap ki imdad kuchh karun

lazim hai apne aap ki imdad kuchh karun
sine mein wo khala hai ki ijad kuchh karun
har lamha apne aap mein pata hun kuchh kami
har lamha apne aap mein izad kuchh karun
rukar se to apni main lagta hun paedar
buniyaad rah gai pa-e-buniyaad kuchh karun
tari hua hai lamha-e-maujud is tarah
kuchh bhi na yaad aae agar yaad kuchh karun
mausam ka mujh se koi taqaza hai dam-ba-dam
be-silsila nahin nafas-e-baad kuchh karun
This is a great teri kami shayari facebook. Please share if you liked this!!!