le gaya ghar se unhen ghair ke ghar ka tawiz

le gaya ghar se unhen ghair ke ghar ka tawiz
hum ne dekha na suna aise asar ka tawiz

de ke bu zulf ki rakh lo tah-mahram dil ko
khwab mein phir na daroge ye hai dar ka tawiz

sadqe tere mujhe taskin se taskin hui
khat tera tha ki mere dard-e-jigar ka tawiz

ho mubarak tujhe aankhon mein samana din-raat
zeb-e-bazu rahe har-waqt nazar ka tawiz

rah gaya ghair ke ghar jaiye bhi laiye bhi
aap ke sar ki qasam aap ke sar ka tawiz

bandh le bahr-e-khuda apne bhare bazu par
nazar-e-bad se bachaega nazar ka tawiz

ghar gae apne bata kar wo hamein rah-e-adam
wasl ki shab ki nishani hai kamar ka tawiz

hath bhi aaen to hai hath lagana mushkil
sar-e-bazu hai bandha khas asar ka tawiz

dar se un ke bhare bazu kai kaghaz utre
hath thama tha shab-e-wasl ki sarka tawiz

dil hai ab mang ke aaghosh mein din-raat 'riyaz'
ye to sar chadh ke bana yar ke sar ka tawiz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close