lutf hi lutf hai jo kuchh hai inayat ke siwa

lutf hi lutf hai jo kuchh hai inayat ke siwa
hai mohabbat se siwa jo hai mohabbat ke siwa

doston ke karam-e-khas se bachne ke liye
koi gosha na mila gosha-e-uzlat ke siwa

mujh se shikwa bhi jo karte hain to ye kahte hain
kuchh bhi aata hi nahin tujh ko shikayat ke siwa

aap ke khat ko main kis baat ka ghammaz kahun
is mein sab kuchh hai bas ek harf-e-mohabbat ke siwa

jis qadar chaho gunahon pe hanso khub hanso
ye ilaj aur bhi hai ashk-e-nidamat ke siwa

wo jo kahte hain ki hai fahm o firasat hum se
aise logon mein sabhi kuchh hai firasat ke siwa

is nai baat ko bhi 'arsh' kabhi socha hai
aaj kal sher mein jiddat hai to jiddat ke siwa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close