mahakte lafzon mein shamil hai rang-o-bu kis ki ye mere sheron mein hoti hai guftugu kis ki wo dil ki aag to yarab kabhi ki sard hui magar in aankhon ko ab bhi hai justuju kis ki mera wajud to ab tak sahi salamat hai hawa mein khak ye udti hai ku-ba-ku kis ki agar wo laut ke aaya nahin to batlana ye khushbu phaili hai aangan mein chaar su kis ki tu apne aap se bezar to nahin 'faruq' tere mizaj mein aakhir ye aai khu kis ki