mahfil mein aaj marsiya-khwani hi kyun na ho aankhon se bahne dijiye pani hi kyun na ho nashshe ka ehtimam se rishta nahin koi paigham us ka aae zabani hi kyun na ho aise ye gham ki raat guzarna muhaal hai kuchh bhi suna mujhe wo kahani hi kyun na ho koi bhi sath deta nahin umr-bhar yahan kuchh din rahegi sath jawani hi kyun na ho is tishnagi ki qaid se jaise bhi ho nikal pine ko kuchh bhi chahiye pani hi kyun na ho duniya bhi jaise tash ke patton ka khel hai joker ke sath rahti hai rani hi kyun na ho taswir us ki chahiye har haal mein mujhe pagal ho sar-phiri ho diwani hi kyun na ho sona to yar sona hai chahe jahan rahe biwi hai phir bhi biwi purani hi kyun na ho ab apne ghar mein rahne na denge kisi ko hum dil se nikal denge nishani hi kyun na ho