main der se dhup mein khaDa hun

main der se dhup mein khada hun
saya saya pukarta hun

sona hun kured kar to dekho
mitti mein daba hua pada hun

le mujh ko sambhaal gardish-e-waqt
tuta hua tera aaina hun

yun rabt to hai nashat se bhi
dar-asal main gham se aashna hun

sohbat mein gulon ki main bhi rah kar
kanton ki zaban samajh gaya hun

dushman ho koi ki dost mera
har ek ke haq mein main dua hun

kyun aab-e-hayat ko main tarsun
main zahr-e-hayat pi chuka hun

taqdir-e-junun pe chup raha main
tabir-e-junun pe ro raha hun

har ahd ke log mujh se na-khush
har ahd mein khwab dekhta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close