main DhunDhta hun jise aaj bhi hawa ki tarah

main dhundhta hun jise aaj bhi hawa ki tarah
wo kho gaya hai khala mein meri sada ki tarah

na puchh mujh se mera qissa-e-zawal-e-junun
main paniyon pe barasta raha ghata ki tarah

tamam umr raha hun main jism mein mahsur
tamam umr kati hai meri saza ki tarah

utar de koi mujh par se ye badan ki rida
ki mar dale mujhe bhi mere khuda ki tarah

nikharta jae yunhi rang-e-sham ai 'pashi'
bikharta jaun yun hi main gul-e-nawa ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close