main jaanta hun wo nazdik o dur mera tha

main jaanta hun wo nazdik o dur mera tha
bichhad gaya jo main us se qusur mera tha

jo panw aae the ghar tak mere wo us ke the
wo dil badha tha jo us ke huzur mera tha

bada ghurur tha donon ko ham-nawai par
nigah us ki thi lekin surur mera tha

wo aankh meri thi jo us ke samne nam thi
khamosh wo tha ki yaum-e-nushur mera tha

kaha ye sab ne ki jo war the usi par the
magar ye kya ki badan chur chur mera tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close