main jahan tumko bulata hun wahan tak aao

main jahan tum ko bulata hun wahan tak aao
meri nazron se guzar kar dil-o-jaan tak aao

phir ye dekho ki zamane ki hawa hai kaisi
sath mere mere firdaus-e-jawan tak aao

hausla ho to udo mere tasawwur ki tarah
meri takhil ke gulzar-e-jinan tak aao

tegh ki tarah chalo chhod ke aaghosh-e-niyam
tir ki tarah se aaghosh-e-kaman tak aao

phul ke gird phiro bagh mein manind-e-nasim
misl-e-parwana kisi sham-e-tapan tak aao

lo wo sadiyon ke jahannam ki haden khatm huin
ab hai firdaus hi firdaus jahan tak aao

chhod kar wahm-o-guman husn-e-yaqin tak pahuncho
par yaqin se bhi kabhi wahm-o-guman tak aao

isi duniya mein dikha den tumhein jannat ki bahaar
shaikh-ji tum bhi zara ku-e-butan tak aao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close