main kab rahin-e-reg-e-bayaban-e-yas tha

main kab rahin-e-reg-e-bayaban-e-yas tha
sad-khema-e-bahaar mere aas pas tha

toda hai bar-ha mujhe dil ki shikast ne
chehra magar zara bhi na mera udas tha

sahra-e-jaan ki dhup mein thin wahshaten bahut
lekin na mera azm kahin bad-hawas tha

ye aur baat hai ki barhana thi zindagi
maujud phir bhi mere badan par libas tha

main ne har ek lamhe ko chaha hai tut kar
tha zindagi-parast mohabbat-shanas tha

mausam kuchh aae aise bhi shahr-e-khayal mein
mujh ko na jin ka ilm na koi qayas tha

fikr-e-sukhan hi 'ashk' hai zauq-e-amal mera
is ke siwa na kar-e-jahan koi ras tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close