main wo be-chaara hun jis se be-kasi manus hai

main wo be-chaara hun jis se be-kasi manus hai
jo hatheli hath mein hai ek kaf-e-afsos hai

is qadar ranj-e-siyah-bakhti se hun zar-o-nahif
do-qadam chalna bhi jis ko ek kale kos hai

aasman nan-e-jawin bhi de to neamat jaaniye
pao-roti bhi jo hath aae samjhe toss hai

ghair ke khatir dhara jata hun main muft-e-khuda
koi mulzim ho wo but deta mujhi ko dos hai

'shad' aasa hai use bhi bosa-e-lab ki hawas
bul-hawas bhi ai shakar-lab ek hi lahlus hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close