maine to ek baat kahi thi baat ko phailaya hai kitna

main ne to ek baat kahi thi baat ko phailaya hai kitna
ab main samjha hun duniya ne mujh ko pahchana hai kitna

jaane kis ne thappad mara kale baadal ke chehre par
main ne dekha hai baadal ko ghusse mein barsa hai kitna

lathi pani mein dalon to wapas aati hai pani par
dariya zor-awar hai kitna mera sarmaya hai kitna

kal main ne kuchh chehre dekhe cafe ke ek lawn mein baithe
kya batlaun mujh ko us ka chehra yaad aaya hai kitna

us se mil kar khush hota hun phir is soch mein kho jata hun
bahar se ujla hai kitna andar se kala hai kitna

'rampur' ji ye mat puchho dil mera rone lagta hai
kya bolon socha hai kitna aur us ko paya hai kitna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close