malbus-e-ghubar yaad rakhna ye rahguzar yaad rakhna ek sham-e-khizan yahin kahin hai ai subh-e-bahaar yaad rakhna hum kashti-e-ishq ke musafir utre nahin par yaad rakhna ai zakhma-waran-e-barbat-e-dil tute hue tar yaad rakhna patjhad ki hawaen chikhti hain kya saut-e-hazar yaad rakhna hum jate hain bar-e-gham uthae ai shahr-e-nigar yaad rakhna ibrat ka maqam hai ye duniya viran dayar yaad rakhna ai wadi-e-gul ko jaane wale raston ke ye khar yaad rakhna milti hai ghamon se bhi basirat zakhmon ka shumar yaad rakhna bachpan ke makan ka nakhl-e-hamraaz ye haar singhaar yaad rakhna ye harf hai raushni-e-farda harf sar-e-dar yaad rakhna shayad main ye khwab bhul jaun tum ai mere yar yaad rakhna