man bai-ragi tan anuragi qadam qadam dushwari hai

man bai-ragi tan anuragi qadam qadam dushwari hai
jiwan jina sahl na jaano bahut badi fankari hai
auron jaise ho kar bhi hum ba-izzat hain basti mein
kuchh logon ka sidha-pan hai kuchh apni ayyari hai
jab jab mausam jhuma hum ne kapde phade shor kiya
har mausam shaista rahna kori duniya-dari hai
aib nahin hai is mein koi lal-pari na phul-kali
ye mat puchho wo achchha hai ya achchhi nadari hai
jo chehra dekha wo toda nagar nagar viran kiye
pahle auron se na-khush the ab khud se be-zari hai

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close