mana-e-dasht-nawardi koi tadbir nahin

mana-e-dasht-nawardi koi tadbir nahin
ek chakkar hai mere panw mein zanjir nahin

shauq us dasht mein daudaye hai mujh ko ki jahan
jada ghair az nigah-e-dida-e-taswir nahin

hasrat-e-lazzat-e-azar rahi jati hai
jada-e-rah-e-wafa juz dam-e-shamshir nahin

ranj-e-naumidi-e-jawed gawara rahiyo
khush hun gar nala-zabuni kash-e-tasir nahin

sar khujata hai jahan zakhm-e-sar achchha ho jae
lazzat-e-sang ba-andaza-e-taqrir nahin

jab karam rukhsat-e-bebaki-o-gustakhi de
koi taqsir ba-juz khajlat-e-taqsir nahin

'ghaalib' apna ye aqida hai ba-qaul-e-'nasikh'
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin

'mir' ke sher ka ahwal kahun kya 'ghaalib'
jis ka diwan kam-az-gulshan-e-kashmir nahin

aaina dam ko parde mein chhupata hai abas
ki pari-zad-e-nazar qabil-e-taskhir nahin

misl-e-gul zakhm hai mera bhi sinan se tawwam
tera tarkash hi kuchh aabistani-e-tir nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close