mana kisi zalim ki himayat nahin karte

mana kisi zalim ki himayat nahin karte
hum log magar khul ke baghawat nahin karte

karte hain musalsal mere iman pe tanqid
khud apne aqidon ki wazahat nahin karte

kuchh wo bhi tabiat ka sukhi aisa nahin hai
kuchh hum bhi mohabbat mein qanaat nahin karte

jo zakhm diye aap ne mahfuz hain ab tak
aadat hai amanat mein khayanat nahin karte

kyun in ko mila mansab-e-afzaish-e-giti
ye log to mitti se mohabbat nahin karte

kuchh aisi baghawat hai tabiat mein hamari
jis baat ki hoti hai ijazat nahin karte

tanzim ka ye haal hai is shahr mein 'asim'
be-sakhta bachche bhi shararat nahin karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close