manzar ajab tha ashkon ko roka nahin gaya hansta hua jo aaya tha hansta nahin gaya ek bar yun hi dekh liya tha use kahin phir us ke baad shahr mein dekha nahin gaya thi jis ke dam se raunaq-e-mahfil hama-hami dawat mein us gharib ko puchha nahin gaya sari khudai khud hi khinchi jati thi udhar main khud wahan gaya mujhe bheja nahin gaya jo kuchh na dekhta tha 'shafaq' dekhna pada ghar le ke mujh ko sham ko rasta nahin gaya