manzar ka ehsan utara ja sakta hai

manzar ka ehsan utara ja sakta hai
aankh ko yara bhuka mara ja sakta hai

aangan aangan aag ugai ja sakti hai
kamron mein dariya ka kinara ja sakta hai

kirchi kirchi khwab chamakta hai aankhon mein
un se ab duniya ko sanwara ja sakta hai

bundon mein aaine ghole ja sakte hain
chadar-e-tan mein safar guzara ja sakta hai

jism-o-dil ki than jaane par yaad rakho
jism ko jito dil to haara ja sakta hai

jis basti ke rashan ghar mein khun bante
wahan faqat lashon ko sanwara ja sakta hai

jis aangan ki sanwaliyan roti jiten
us ke tawe par chand utara ja sakta hai

aatish-dan ka sina thanda ho sakta hai
barf ka tukda ban ke sharara ja sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close