manzar se hain na dida-e-bina ke dam se hain

manzar se hain na dida-e-bina ke dam se hain
sab moajaze tilism-e-tamasha ke dam se hain

mitti to samne ka hawala hai aur bas
kuze mein jitne rang hain dariya ke dam se hain

kya aisi manzilon ke liye naqd-e-jaan ganwaen
jo khud hamare naqsh-e-kaf-e-pa ke dam se hain

ye sari jannaten ye jahannam azab o ajr
sari qayamaten isi duniya ke dam se hain

hum sare yaadgar-e-zamin-o-zamana log
ek sahab-e-zamin-o-zamana ke dam se hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close