mar Dalegi hamein ye KHush-bayani aap ki

mar dalegi hamein ye khush-bayani aap ki
maut ka paigham aaega zabani aap ki

zindagi kahte hain kis ko maut kis ka nam hai
mehrbani aap ki na-mehrbani aap ki

baad-e-murdan khinch laya jazb-e-dil sine pe hath
ek anguthi mein jo pahne tha nishani aap ki

badh chuka qad bhi farogh-e-husn ki had ho chuki
ab to qabil dekhne ke hai jawani aap ki

aap se mil ke gale rahat se aa jati hai nind
sabza-e-khwabida hai poshak dhani aap ki

rang aalam ka badalna aap ke sadqe mein hai
jama kar rakkhi thin poshaken purani aap ki

aankhon par bandhwai patti ta na dekhun aur ko
mar gaya main par wahi hai bad-gumani aap ki

jab wo mujh ko dekhta hai hans ke kahta hai 'rashid'
kitni paband-e-wafa hai zindagani aap ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close