masala ye bhi ba-faiz-e-ishq aasan ho gaya zist ko andaza-e-gham-ha-e-dauran ho gaya dil mein jab ehsas ka shoala farozan ho gaya nur afshan har charagh-e-bazm-e-imkan ho gaya tere lahraate hi ai jaan-e-tarab ruh-e-nashat zindagi raqsan hui aalam ghazal-khwan ho gaya is tarah meri bahaar-e-zindagi rukhsat hui dil ujad kar rah gaya aaghosh viran ho gaya ho gai jab zakhma-zan dard-e-mohabbat ki khalish har nafas ek naghma-e-saz-e-rag-e-jaan ho gaya anjum-afshan ho gai jab meri chashm-e-ashk-bar dard ki tera fazaon mein charaghan ho gaya jis ke aaine mein lakhon rang the jalwa-fagan khwab sa wo lamha-e-aish-e-farawan ho gaya main ne har but ki parastish ki kuchh is andaz se kufr mera laeq-e-arbab-e-iman ho gaya aah muztar ab wo jalwe hain na wo ranaiyan har nazara saya-e-umr-e-gurezan ho gaya