masarraton ka khila hai har ek samt chaman

masarraton ka khila hai har ek samt chaman
magar ye dil ki hai phir bhi qatil-e-ranj-o-mehan

bade sukun se zulfen sanwarne wale
kisi ki zist na ban jae mustaqil uljhan

mere junun pe rahe log mo'tariz lekin
na dekhe aah kisi ne tere khutut-e-badan

abhi to harf-e-tamanna ka zikr tak bhi nahin
abhi na dal khuda ke liye jabin pe shikan

dil-e-fasurda mein yun teri yaad aai hai
shab-e-siyah mein jis tarah raushni ki kiran

ye kis ne jhum ke masti mein li hai angdai
fusun-taraaz hai ye kis ka rang-e-pairahan

guzar gaya hai zamana magar mujhe 'rifat'
hai ab bhi yaad kisi ki nigah-e-tauba-shikan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close