mat puchh harf-e-dard ki tafsir kuchh bhi ho

mat puchh harf-e-dard ki tafsir kuchh bhi ho
wo khwab la-jawab tha tabir kuchh bhi ho

har naqsh ko mita ke guzarti rahi hawa
lauh-e-jahan pe waqt ki tahrir kuchh bhi ho

behtar nahin ki tujh ko mile kaghzi libas
rangon ka imtizaj hai taswir kuchh bhi ho

jab hukm ho gaya hai ki nala-ba-lab rahen
phir wahm kya hai zahr ki tasir kuchh bhi ho

mere liye zamin ka tasawwur hai aasman
paband hun hawaon ka taqdir kuchh bhi ho

maslak yahi tha shahr ki buniyaad rakh chale
is se gharaz nahin hai ki tamir kuchh bhi ho

chhaya hua hai arz-o-sama par mera shuur
'shahid' karenge zehn ki taskhir kuchh bhi ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close