mauja-e-dard se jismon mein rawani de ja

mauja-e-dard se jismon mein rawani de ja
khushk dariyaon nadi nalon ko pani de ja

kuchh to samjha de tilismat-e-shab-o-roz mujhe
in hisaron mein koi bab-e-maani de ja

zulmat-e-habs dil-o-jaan mein jala shama hua
tu kahin hai to mujhe apni nishani de ja

main subuk-sair sahi mujh ko tu pur-khas na bana
in hawaon mein mujhe thodi girani de ja

na-mukammal hai koi bab-e-chaman jin ke baghair
qissa-e-gul ke wo auraq-e-khizani de ja

kab se be-ab hain aaine meri aankhon ke
un nae chehron mein kuchh shaklen purani de ja

aag barsate hue din ki haden bandh kabhi
garm shamon mein koi sham suhani de ja

har ghadi dil se gurezan hain umiden 'shahin'
in makinon ko zara shauq-e-makani de ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close