maujud the abhi abhi ru-posh ho gae

maujud the abhi abhi ru-posh ho gae
ai mast-e-naz tum to mere hosh ho gae

sote mein wo jo mujh se ham-aghosh ho gae
jitne gile the khwab-e-faramosh ho gae

wade ki raat aai qaza is ada ke sath
dhoke mein tere us se ham-aghosh ho gae

barson hue na tum ne kiya bhul kar bhi yaad
wade ki tarah hum bhi faramosh ho gae

aankhon mein bhi jo aae to allah-re hijab
ban kar nazar nazar se wo ru-posh ho gae

kya kya zaban-daraaz charagh anjuman mein the
daman-kashan tum aae to khamosh ho gae

yaran-e-rafta baat ka dete nahin jawab
kya kah diya faza ne ki khamosh ho gae

aai shab-e-visal to nind aa gai unhen
hum hosh mein jo aae wo madhosh ho gae

mar kar tamam sar se talin aafaten 'jalil'
hum jaan de ke sab se subuk-dosh ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close