mausam-e-gul bahaar ke din the

mausam-e-gul bahaar ke din the
jo tere mere pyar ke din the
jo tere intizar mein guzre
bas wahi intizar ke din the
jo bahut be-qarar rakhte the
han wahi to qarar ke din the
jin dinon dil pe ikhtiyar na tha
kya wahi ikhtiyar ke din the
the muqayyad teri mohabbat mein
zindagi se farar ke din the
Please share if you liked this!!!