mausam-e-rang bhi hai fasl-e-KHizan bhi tari

mausam-e-rang bhi hai fasl-e-khizan bhi tari
dekhna khun ke dhabbe hain ki hai gul-kari

us se har tarah se tazlil-e-bashar hoti hai
bais-e-fakhr nahin muflisi-o-na-dari

inqilabi ho to hai faqr bhi tauqir-e-hayat
warna hai aajizi-o-be-kasi-o-ayyari

shoala-e-gul ki badha deti hai lau-e-baad-e-bahaar
tah-e-shabnam bhi dahak uthti hai ek chingari

lamha lamha hai ki hai qafila-e-manzil-e-nur
sarhad-e-shab mein bhi farman-e-sahar hai jari

tegh-o-khanjar ko ata karte hain lafzon ki niyam
zulm ki karte hain jab ahl-e-sitam tayyari

harf-e-'sardar' mein poshida hain asrar-e-hayat
sher-e-'sardar' mein hai sarkashi-o-sar-shaari

sher-e-'sardar' mein hai shoala-e-be-bak ka rang
harf-e-'sardar' mein haq-goi-o-khush-guftari


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close