mausam ka aah-o-nala se andaza kijiye

mausam ka aah-o-nala se andaza kijiye
taza hawa pe band na darwaza kijiye

ya chhediye na manzar-e-nadidani ka zikr
ya misl-e-aftab baham ghaza kijiye

ya lab pe laiye na pareshaniyon ki baat
ya jama baith kar kabhi shiraaza kijiye

bahlaen dil ko khwab-e-khush-aind se na kyun
kya faeda ki zakhm-e-kuhan taza kijiye

is daur mein ki chehre hi 'anjum' hue hain maskh
kya khatt-o-khal se tere andaza kijiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close