maza hai imtihan ka aazma le jis ka ji chahe

maza hai imtihan ka aazma le jis ka ji chahe
namak zakhm-e-jigar par aur dale jis ka ji chahe

jigar maujud hai to wo bana le jis ka ji chahe
gala hazir hai khanjar aazma le jis ka ji chahe

agar hai husn ka dawa mah o khurshid donon mein
kaf-e-pa se tumhaare munh mila le jis ka ji chahe

ye musht-e-ustukhwan apne kisi ke kaam mein aaen
huma ho ya sag-e-dildar kha le jis ka ji chahe

agar hai zindagi baqi to hum hasrat nikalenge
dil-e-pur-arzu par khak dale jis ka ji chahe

faqiron ko nahin kuchh zinat-e-duniya se matlab hai
main khush kambal mein hun odhe doshaale jis ka ji chahe

jo raushan dil mein un ki raushni chhupti nahin hargiz
mah-e-taban pe sahab khak dale jis ka ji chahe

shikayat mujh ko donon se hai naseh ho ki waiz ho
na samjha hun na samjhun sar phira le jis ka ji chahe

main hun barg-e-khizan-uftada main mardud dahqan hun
gira hun un ki nazron se utha le jis ka ji chahe

nahin hota kabhi aab-e-rawan par shak najasat ka
mere ashkon ke dariya mein naha le jis ka ji chahe

chaman mein gul ke murjhane se 'agha' ho gaya sabit
bisan-e-ghuncha dam bhar muskura le jis ka ji chahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close