mere dil mein KHushbu basi thi jo wo makan apna badal gai

mere dil mein khushbu basi thi jo wo makan apna badal gai
kisi aur abr ki chhanw mein badi dur mujh se nikal gai

wo jo barf abhi thi jami hui kisi maslahat ke hisar mein
zara waqt ki jo hawa lagi to wo ek pal mein pighal gai

mere ghar ki unchi munder pe wo jo kali billi thi ghumti
wahi aa ke chupke se raat mein meri fakhta ko nigal gai

badi tangiyon mein pali hui wo ghazal dukhon mein badi hui
tujhe lutf-e-aish na de saki to wo teri rah mein jal gai

use dekhne ki thi aarzu mujhe us ki thi badi justuju
magar us ke aariz-e-naz pe meri har nigah phisal gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close