mere pahlu mein hamesha rahi surat achchhi

mere pahlu mein hamesha rahi surat achchhi
main bhi achchha meri qismat bhi nihayat achchhi

aap ki shakl bhali aap ki surat achchhi
aap ke taur bure aap se nafrat achchhi

hashr ke din hamein sujhi ye shararat achchhi
le chale khuld mein hum dekh ke surat achchhi

tujh se kahta tha koi ya teri taswir se aaj
aankhen achchhi teri aankhon ki murawwat achchhi

hum ne sau bar shab-e-wasl mila kar dekha
ai falak chand se wo chand se surat achchhi

na bane kaam to kis kaam ki nazuk shaklen
nazuk achchhe na hasinon ki nazakat achchhi

us se koi nahin achchha jo tujhe pyar kare
main bhi achchha tere sadqe meri qismat achchhi

teri madfan se jo utthe wo bari ai waiz
un ke thokar se jo utthe wo qayamat achchhi

jaur tere bahut achchhe sitam-e-gardun se
aur un se teri aankhon ki nadamat achchhi

munh mein jab baat ruki chum liya pyar se munh
dam-e-taqrir kisi shokh ki luknat achchhi

dekhte hi kisi kafir ko bigad jati hai
main jo chahun bhi to rahti nahin niyyat achchhi

husn-e-surat ki tarah husn-e-sukhan hai kam-yab
ek hoti hai hazaron mein tabiat achchhi

tujh se jalta hai jo wo aur jalate hain use
mere haq mein mere dushman ki adawat achchhi

aate jate nazar aati hai jhalak chilman se
parde parde mein nikal aai ye surat achchhi

khugar-e-gham ke liye kuchh bhi nahin aish ka khwab
aisi rahat se hamesha ki musibat achchhi

de ke wo bosa-e-lab shauq se len dil mera
uzr kya hai jo mile mal ki qimat achchhi

sun ke ashaar mere sab yahi kahte hain 'riyaz'
is ki qismat hai buri aur tabiat achchhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close