meri ek chhoTi si koshish tujhko pane ke liye

meri ek chhoti si koshish tujh ko pane ke liye
ban gai hai masala sare zamane ke liye

ret meri umr main bachcha nirale mere khel
main ne diwaren uthai hain girane ke liye

waqt honton se mere wo bhi khurach kar le gaya
ek tabassum jo tha duniya ko dikhane ke liye

aasman aisa bhi kya khatra tha dil ki aag se
itni barish ek shole ko bujhane ke liye

chhat tapakti thi agarche phir bhi aa jati thi nind
main nae ghar mein bahut roya purane ke liye

der tak hansta raha un par hamara bachpana
tajrabe aae the sanjida banane ke liye

main 'zafar' ta-zindagi bikta raha pardes mein
apni ghar-wali ko ek kangan dilane ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close