meri nazar nazar mein hain manzar jale hue

meri nazar nazar mein hain manzar jale hue
ubhrenge harf harf se paikar jale hue

shoalon ka raqs aab-e-rawan tak pahunch gaya
dariya pe bah ke aae hain chhappar jale hue

har zarra is zamin ka lau de raha hai aaj
kal aap ko milenge samundar jale hue

mazlum-o-be-qusur jinhen kah rahe hain aap
nikle hain un ke ghar se bhi khanjar jale hue

aankhon ki is jalan se na mil paegi najat
dekhe hain meri aankhon ne manzar jale hue

darne lage hain aag se aatish-parast bhi
dekhe hain jab se chaaron taraf sar jale hue

be-khwab wahshaton ko sulane ke waste
aarasta hain aaj bhi bistar jale hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close