meri nigah mein ye rang-e-soz-o-saz na ho tere karam ka agar silsila daraaz na ho umid chashm-e-taghaful-shiar se kab thi is iltifat-e-farawan mein koi raaz na ho hamare haal-e-pareshan pe ek nazar bhi nahin niyaz-mand se itna tu be-niyaz na ho kisi ne tod diye barbat-e-hayat ke tar ab aur kya ho agar aah-e-jaan-gudaz na ho nazar na aae kahin ye bahaar ka aalam agar tasawwur-e-ru-e-chaman-taraaz na ho chala to hai magar ai rahraw-e-rah-e-irfan haqiqaton ki bhi manzil kahin majaz na ho jo us ke husn ki parchhaiyan na aaen nazar to ruh garm-e-tawaf-e-harim-e-naz na ho hai ek fitna-e-bedar husn-e-khwabida sambhal ki ghat mein wo chashm-e-nim-baz na ho shab-e-firaq na kate kate kabhi 'muztar' khayal-e-dost agar gham mein dil-nawaz na ho