meri tarah koi na-kaamyab ho na saka

meri tarah koi na-kaamyab ho na saka
kisi nigah mein bhi intikhab ho na saka

khayal-o-khwab mein bhi kaamyab ho na saka
mera khayal kabhi un ka khwab ho na saka

chaman hazar ba-ranai-e-bahaar raha
tumhaara husn tumhaara shabab ho na saka

meri nigah ke andaz-e-shauq jab dekhe
hijab kar na sake wo hijab ho na saka

jahan-e-ishq mein wo ham-mizaj-e-fitrat hun
mere khilaf koi inqalab ho na saka

kahan wo ahd-e-shabab aur talatum-e-jazbaat
sukun-pazir kabhi iztirab ho na saka

nigah-e-shauq se jab tak na chhed-chhad hui
tera shabab mukammal shabab ho na saka

nigah-e-shokh ki bebakiyan koi dekhe
ki jaise koi kabhi kaamyab ho na saka

harim-e-naz ki allah re rifaten 'bismil'
khayal mein bhi koi baryab ho na saka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close