mil-jul ke barahna jise duniya ne kiya hai us dard ne ab mera badan odh liya hai main ret ke dariya pe khada soch raha hun is shahr mein pani to yazidon ne piya hai ai gor-kanon qabr ka de kar mujhe dhoka tum ne to khalaon mein mujhe gad diya hai main sahab-e-izzat hun meri lash na kholo dastar ke purzon se kafan main ne siya hai phaila hai tera karb 'qatil' aadhi sadi par hairat hai ki tu itne baras kaise jiya hai