mil us pari se kya kya hua dil shaida hua dil ruswa hua dil barq-e-tajalli dekh us nigah ki jun tur jal kar surma hua dil us sang-dil ki mai-khwargi se khun-e-jigar mein mina hua dil hain munqasim ye khun-bar aankhen jin ki badaulat dariya hua dil josh-e-junun se ishq-e-butan mein sina hua koh-e-sahra hua dil sozan hai az bas dagh-e-mohabbat ek ek ka sa shoala hua dil yunhi 'muhib' thi khwahish khuda ki ab to butan ka banda hua dil