mile jo naqa-e-wahshat ko sarban koi

mile jo naqa-e-wahshat ko sarban koi
dikhaun qafila-e-khwab ka nishan koi

khamoshiyon hi se mashrut hai janam mera
so meri rakh se uthta nahin dhuan koi

khasara aur hi hota tha be-ghari ka magar
mujhe makan mein rakhta hai be-makan koi

kisi se hone na hone ke darmiyan ho jo rabt
wahin to rabt mein aata hai darmiyan koi

suragh de ke mujhe meri be-zabani ka
mujhi mein aan basa mujh sa be-zaban koi

tu mere aks ko mizan-e-aina mein na tol
utha raha hai abhi meri kirchiyan koi

tere khayal ki aabaadiyan chhupati hun
ki mujh se chhin na le meri bastiyan koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close