mile shauqin baaten ho rahi hain badi rangin baaten ho rahi hain mere zakhmon ko shayad padh liya hai tabhi namkin baaten ho rahi hain use bolo ki parde mein rahe wo karo talqin baaten ho rahi hain wahan do-chaar baaten aur kar len jahan do tin baaten ho rahi hain miyan zakhmon ka uqda khul raha hai karo tadfin baaten ho rahi hain