mile to kash mera hath tham kar le jae

mile to kash mera hath tham kar le jae
wo apne ghar na sahi mujh ko mere ghar le jae

butan-e-shahr tumhaare larazte hathon mein
koi to sang ho aisa ki mera sar le jae

diya karunga yunhi tere nam ki dastak
mera nasib mujhe lakh dar-ba-dar le jae

wo aadmi ho ki khushbu bahut hi ruswa hai
hawa-e-shahr jise apne dosh par le jae

mere qarib se guzre to ahl-e-dil bole
utha ke kaun parinda lahu mein tar le jae

palat ke aae to shayad na kuchh dikhai de
wo ja raha hai to 'asim' meri nazar le jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close