milon ke shahr mein ghaTta hua din sochta hoga

milon ke shahr mein ghatta hua din sochta hoga
dhuen ko jitne walon ka suraj dusra hoga

agar mar kar phir uthna hai to marne ki khushi kya hai
badan khone ka gham jine ki khushiyon se siwa hoga

suna hai ye zamin udti phiregi rui ki surat
tamasha karne wala hi tamasha dekhta hoga

main chidiyon ko ulajhte dekh kar ladta samajhta hun
magar sachchai kya hai ye unhin se puchhna hoga

tumhaara jism meri aag mein tap kar nikharta hai
magar ek roz mera jism thanda pad gaya hoga

mujhe khushbu lapete jism kuchh achchhe nahin lagte
magar us ko mera khali badan bhi katta hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close