mohabbat ki alamat ho gai hai

mohabbat ki alamat ho gai hai
ye kis be-kas ki rehlat ho gai hai

koi maqsad nahin hai zindagi ka
hamein jine ki aadat ho gai hai

abhi tak kyun ye patte tutte hain
hawa to kab ki rukhsat ho gai hai

koi taqat daba sakti nahin ab
ki zehnon mein baghawat ho gai hai

jise main qatl kar ke khush hua tha
har aaina wo surat ho gai hai

gareban mein abas kyun jhankte ho
tumhein kaisi ye wahshat ho gai hai

ibaadat ek zarurat se thi pahle
zarurat ab ibaadat ho gai hai

nahin hai dhyan apni zindagi ka
ki ab bachchon se ulfat ho gai hai

hamari zindagi hi kya hai 'khalid'
azizon ki amanat ho gai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close