mohabbat ki intiha chahta hun unhen hasil-e-ibtida chahta hun use barmala dekhna chahta hun adab ai mohabbat ye kya chahta hun gham-e-ishq ka silsila chahta hun main tujh tak tera wasta chahta hun karam-ha-e-na-mustaqil ka gila kya sitam-ha-e-be-intiha chahta hun wo ghabra ke jis par nazar dal hi den main wo qalb-e-shorish-ada chahta hun karam kijiye to karam ka hun talib saza dijiye to saza chahta hun teri yaad achchhi tarah zikr pyara magar main tujhe dekhna chahta hun tere ishq hi se bani meri hasti tere ishq hi mein mita chahta hun jo taza kare qissa-e-tur 'basit' main aisa hi ek waqia chahta hun