mohabbat mein shikayat kar raha hun shikayat mein mohabbat kar raha hun suna hai aadaten marti nahin hain so khud ko ek aadat kar raha hun wo yun bhi khubsurat hai magar main use aur khubsurat kar raha hun kise malum kab aae qayamat so har din ek qayamat kar raha hun udasi se bhari aankhen hain us ki main sadiyon se ziyarat kar raha hun zarurat hi nahin meri kisi ko so khud ko apni chahat kar raha hun