mohabbat sulh bhi paikar bhi hai ye shakh-e-gul bhi hai talwar bhi hai tabiat is taraf khuddar bhi hai udhar nazuk mizaj-e-yar bhi hai ada-e-ishq ada-e-yar bhi hai bahut sada bahut purkar bhi hai ye fitne jin se ek duniya hai nalan inhin se garmi-e-bazar bhi hai junun ke dam se hai nazm-e-do-alam junun barham-zan-e-afkar bhi hai nafas par hai madar-e-zindagani nafas chalti hui talwar bhi hai isi insan mein sab kuchh hai pinhan magar ye marifat dushwar bhi hai wo bu-e-gul ki hai jaan-e-chaman bhi qayamat hai chaman-be-zar bhi hai yahi duniya hai nisbat aansuon ki yahi duniya tabassum-zar bhi hai jahan wo hain wahin mera tasawwur jahan main hun khayal-e-yar bhi hai khabar-dar ai subuk-saran-e-sahil ye sahil hi kabhi manjdhaar bhi hai ghanimat hai ki is daur-e-hawas mein tera milna bahut dushwar bhi hai jo koi sun sake to nikhat-e-gul shikast-e-rang ki jhankar bhi hai un aankhon ki zahe mojaz-bayani baham inkar bhi iqrar bhi hai